be-naqaab un ki jafaon ko kiya hai main ne
waqt ke haath mein aaina diya hai main ne
khoon khud shauq o tamannaa ka kiya hai main ne
apni tasveer ko ik rang diya hai main ne
ye to sach hai ki nahin apne garebaan ki khabar
tera daaman to kai baar siya hai main ne
rasan o daar ki taqdeer jaga di jis ne
teri duniya mein vo ailaan kiya hai main ne
harf aane na diya ishq ki khuddaari par
kaam naakaam tamannaa se liya hai main ne
jab kabhi un ki jafaon ki shikaayat ki hai
tajziya apni wafa ka bhi kiya hai main ne
muddaton baad jo is raah se guzra hoon qamar
ahd-e-rafta ko bahut yaad kiya hai main ne
बे-नक़ाब उन की जफ़ाओं को किया है मैं ने
वक़्त के हाथ में आईना दिया है मैं ने
ख़ून ख़ुद शौक़ ओ तमन्ना का किया है मैं ने
अपनी तस्वीर को इक रंग दिया है मैं ने
ये तो सच है कि नहीं अपने गरेबाँ की ख़बर
तेरा दामन तो कई बार सिया है मैं ने
रसन ओ दार की तक़दीर जगा दी जिस ने
तेरी दुनिया में वो ऐलान किया है मैं ने
हर्फ़ आने न दिया इश्क़ की ख़ुद्दारी पर
काम नाकाम तमन्ना से लिया है मैं ने
जब कभी उन की जफ़ाओं की शिकायत की है
तजज़िया अपनी वफ़ा का भी किया है मैं ने
मुद्दतों बाद जो इस राह से गुज़रा हूँ 'क़मर'
अहद-ए-रफ़्ता को बहुत याद किया है मैं ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Moradabadi
our suggestion based on Qamar Moradabadi
As you were reading Sach Shayari Shayari