lazzat-e-dard-e-jigar yaad aayi
phir tiri pehli nazar yaad aayi
dard ne jab koi karvat badli
zindagi baar-e-digar yaad aayi
pad gai jab tire daaman pe nazar
azmat-e-deeda-e-tar yaad aayi
apna khoya hua dil yaad aaya
un ki makhmoor nazar yaad aayi
dair o kaaba se jo ho kar guzre
dost ki raahguzar yaad aayi
dekh kar us rukh-e-zeba pe naqaab
apni gustaakh nazar yaad aayi
jab bhi taameer-e-nasheman ki qamar
yoorish-e-bark-o-sharar yaad aayi
लज़्ज़त-ए-दर्द-ए-जिगर याद आई
फिर तिरी पहली नज़र याद आई
दर्द ने जब कोई करवट बदली
ज़िंदगी बार-ए-दिगर याद आई
पड़ गई जब तिरे दामन पे नज़र
अज़्मत-ए-दीदा-ए-तर याद आई
अपना खोया हुआ दिल याद आया
उन की मख़्मूर नज़र याद आई
दैर ओ काबा से जो हो कर गुज़रे
दोस्त की राहगुज़र याद आई
देख कर उस रुख़-ए-ज़ेबा पे नक़ाब
अपनी गुस्ताख़ नज़र याद आई
जब भी तामीर-ए-नशेमन की 'क़मर'
यूरिश-ए-बर्क़-ओ-शरर याद आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Moradabadi
our suggestion based on Qamar Moradabadi
As you were reading Nazar Shayari Shayari