manzilon ke nishaan nahin milte | मंज़िलों के निशाँ नहीं मिलते - Qamar Moradabadi

manzilon ke nishaan nahin milte
tum agar na-gahaan nahin milte

aashiyaane ka ranj kaun kare
chaar tinke kahaan nahin milte

daastaanen hazaar milti hain
saahib-e-dastaan nahin milte

yun na milne ke sau bahaane hain
milne waale kahaan nahin milte

inqilaab-e-jahaan are tauba
hum jahaan the wahan nahin milte

doston ki kami nahin hamdam
aise dushman kahaan nahin milte

jin ko manzil salaam karti thi
aaj vo kaarwaan nahin milte

shaakh-e-gul par jo jhoomte the qamar
aaj vo aashiyaan nahin milte

मंज़िलों के निशाँ नहीं मिलते
तुम अगर ना-गहाँ नहीं मिलते

आशियाने का रंज कौन करे
चार तिनके कहाँ नहीं मिलते

दास्तानें हज़ार मिलती हैं
साहिब-ए-दास्ताँ नहीं मिलते

यूँ न मिलने के सौ बहाने हैं
मिलने वाले कहाँ नहीं मिलते

इंक़िलाब-ए-जहाँ अरे तौबा
हम जहाँ थे वहाँ नहीं मिलते

दोस्तों की कमी नहीं हमदम
ऐसे दुश्मन कहाँ नहीं मिलते

जिन को मंज़िल सलाम करती थी
आज वो कारवाँ नहीं मिलते

शाख़-ए-गुल पर जो झूमते थे 'क़मर'
आज वो आशियाँ नहीं मिलते

- Qamar Moradabadi
1 Like

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Moradabadi

As you were reading Shayari by Qamar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari