nazar hai jalwa-e-jaanaan hai dekhiye kya ho | नज़र है जल्वा-ए-जानाँ है देखिए क्या हो

  - Qamar Moradabadi

nazar hai jalwa-e-jaanaan hai dekhiye kya ho
shikast-e-ishq ka imkaan hai dekhiye kya ho

abhi bahaar-e-guzishta ka gham mita bhi nahin
phir ehtimaam-e-bahaaraan hai dekhiye kya ho

qadam uthe bhi nahin bazm-e-naaz ki jaanib
khayal abhi se pareshaan hai dekhiye kya ho

kisi ki raah mein kaante kisi ki raah mein phool
hamaari raah mein toofaan hai dekhiye kya ho

khird ka zor hai araish-e-gulistaan par
junoon hareef-e-bahaaraan hai dekhiye kya ho

jis ek shaakh pe buniyaad hai nasheeman ki
vo ek shaakh bhi larzaan hai dekhiye kya ho

hai aaj bazm mein phir izn-e-aam saaqi ka
qamar hunooz musalmaan hai dekhiye kya ho

नज़र है जल्वा-ए-जानाँ है देखिए क्या हो
शिकस्त-ए-इश्क़ का इम्काँ है देखिए क्या हो

अभी बहार-ए-गुज़िश्ता का ग़म मिटा भी नहीं
फिर एहतिमाम-ए-बहाराँ है देखिए क्या हो

क़दम उठे भी नहीं बज़्म-ए-नाज़ की जानिब
ख़याल अभी से परेशाँ है देखिए क्या हो

किसी की राह में काँटे किसी की राह में फूल
हमारी राह में तूफ़ाँ है देखिए क्या हो

ख़िरद का ज़ोर है आराइश-ए-गुलिस्ताँ पर
जुनूँ हरीफ़-ए-बहाराँ है देखिए क्या हो

जिस एक शाख़ पे बुनियाद है नशेमन की
वो एक शाख़ भी लर्ज़ां है देखिए क्या हो

है आज बज़्म में फिर इज़्न-ए-आम साक़ी का
'क़मर' हुनूज़ मुसलमाँ है देखिए क्या हो

  - Qamar Moradabadi

Maikada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Moradabadi

As you were reading Shayari by Qamar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Maikada Shayari Shayari