meri raahon mein kai marhale dushwaar aaye
dair aaya haram aaya rasn-o-daar aaye
jalva-gaahon mein abhi sham-e-yaqeen jalne do
kya ajab hai jo koi taalib-e-deedaar aaye
mehfil-e-naaz ke aadaab hain sab par laazim
koi deewaana yahan aaye ki hoshyaar aaye
ishq mein wusa'at-e-kaunain se shaista guzar
kya khabar hai ki kahaan jalva-gah-e-yaar aaye
saaz-e-hasti mein vo soz-e-abadi paida kar
dil ke toote hue taaron se bhi jhankaar aaye
mauj-o-saahil meh-o-anjum gul-o-laala dekhe
jab kahi tujh ko na paaya to sar-e-daar aaye
lazzat-e-dard nahin sab ke muqaddar mein qamar
jis ke hissa mein bhi ye daulat-e-bedaar aaye
मेरी राहों में कई मरहले दुश्वार आए
दैर आया हरम आया रसन-ओ-दार आए
जल्वा-गाहों में अभी शम-ए-यक़ीं जलने दो
क्या अजब है जो कोई तालिब-ए-दीदार आए
महफ़िल-ए-नाज़ के आदाब हैं सब पर लाज़िम
कोई दीवाना यहाँ आए कि होश्यार आए
इश्क़ में वुसअ'त-ए-कौनैन से शाइस्ता गुज़र
क्या ख़बर है कि कहाँ जल्वा-गह-ए-यार आए
साज़-ए-हस्ती में वो सोज़-ए-अबदी पैदा कर
दिल के टूटे हुए तारों से भी झंकार आए
मौज-ओ-साहिल मह-ओ-अंजुम गुल-ओ-लाला देखे
जब कहीं तुझ को न पाया तो सर-ए-दार आए
लज़्ज़त-ए-दर्द नहीं सब के मुक़द्दर में 'क़मर'
जिस के हिस्सा में भी ये दौलत-ए-बेदार आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Moradabadi
our suggestion based on Qamar Moradabadi
As you were reading Chaand Shayari Shayari