paaniyon mein raasta sholoon mein ghar dekhega kaun | पानियों में रास्ता शो'लों में घर देखेगा कौन

  - Qamar Siddiqi

paaniyon mein raasta sholoon mein ghar dekhega kaun
ai gumaan-e-khush-nazar ab ke udhar dekhega kaun

chashm-e-pur-nam soz-e-dil apni jagah lekin yahan
mausam-e-sar-sabz mein raqs-e-sharar dekhega kaun

is sadi se us sadi tak rishte-naate dosti
peeche kya kya rah gaya hai laut kar dekhega kaun

dirham-o-deenaar hain ina'am hijrat ka magar
ghar se gar sab hi chale jaayen to ghar dekhega kaun

पानियों में रास्ता शो'लों में घर देखेगा कौन
ऐ गुमान-ए-ख़ुश-नज़र अब के उधर देखेगा कौन

चश्म-ए-पुर-नम सोज़-ए-दिल अपनी जगह लेकिन यहाँ
मौसम-ए-सर-सब्ज़ में रक़्स-ए-शरर देखेगा कौन

इस सदी से उस सदी तक रिश्ते-नाते दोस्ती
पीछे क्या क्या रह गया है लौट कर देखेगा कौन

दिरहम-ओ-दीनार हैं इनआ'म हिजरत का मगर
घर से गर सब ही चले जाएँ तो घर देखेगा कौन

  - Qamar Siddiqi

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari