vo shakhs ki main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta
pakda hi gaya hoon to mujhe daar pe kheencho
saccha hoon magar apni vakaalat nahin karta
kyun bakhsh diya mujh se gunahgaar ko maula
munsif to kisi se bhi ri'ayat nahin karta
ghar waalon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malaamat nahin karta
kis qaum ke dil mein nahin jazbaat-e-ibrahim
kis mulk pe namrood hukoomat nahin karta
dete hain ujaale mere sajdon ki gawaahi
main chhup ke andhere mein ibadat nahin karta
bhoola nahin main aaj bhi aadaab-e-jawaani
main aaj bhi auron ko naseehat nahin karta
insaan ye samjhen ki yahan dafn khuda hai
main aise mazaaron ki ziyaarat nahin karta
duniya mein qatil us sa munaafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai bagaavat nahin karta
वो शख़्स कि मैं जिस से मोहब्बत नहीं करता
हँसता है मुझे देख के नफ़रत नहीं करता
पकड़ा ही गया हूँ तो मुझे दार पे खींचो
सच्चा हूँ मगर अपनी वकालत नहीं करता
क्यूँ बख़्श दिया मुझ से गुनहगार को मौला
मुंसिफ़ तो किसी से भी रिआ'यत नहीं करता
घर वालों को ग़फ़लत पे सभी कोस रहे हैं
चोरों को मगर कोई मलामत नहीं करता
किस क़ौम के दिल में नहीं जज़्बात-ए-बराहीम
किस मुल्क पे नमरूद हुकूमत नहीं करता
देते हैं उजाले मिरे सज्दों की गवाही
मैं छुप के अँधेरे में इबादत नहीं करता
भूला नहीं मैं आज भी आदाब-ए-जवानी
मैं आज भी औरों को नसीहत नहीं करता
इंसान ये समझें कि यहाँ दफ़्न ख़ुदा है
मैं ऐसे मज़ारों की ज़ियारत नहीं करता
दुनिया में 'क़तील' उस सा मुनाफ़िक़ नहीं कोई
जो ज़ुल्म तो सहता है बग़ावत नहीं करता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qateel Shifai
our suggestion based on Qateel Shifai
As you were reading I love you Shayari Shayari