masaail ye bhi hal kar dekhta hoon
kabhi khud se nikal kar dekhta hoon
mere dil tak koii aata nahin kyun
chalo chehra badal kar dekhta hoon
kabhi gar khwaab mein dekhoon tujhe main
to bistar se uchhal kar dekhta hoon
suna ik aag sii tujh mein hai to phir
kiya ye tay ki jal kar dekhta hoon
tumhaare saath kab tak chal sakunga
chalo kuchh der chal kar dekhta hoon
मसाइल ये भी हल कर देखता हूँ
कभी ख़ुद से निकल कर देखता हूँ
मिरे दिल तक कोई आता नहीं क्यूँ
चलो चेहरा बदल कर देखता हूँ
कभी गर ख़्वाब में देखूँ तुझे मैं
तो बिस्तर से उछल कर देखता हूँ
सुना इक आग सी तुझ में है तो फिर
किया ये तय कि जल कर देखता हूँ
तुम्हारे साथ कब तक चल सकूँगा
चलो कुछ देर चल कर देखता हूँ
our suggestion based on Raaz Dehlvi
As you were reading undefined Shayari