agarche waqt munaajat karne waala tha | अगरचे वक़्त मुनाजात करने वाला था - Rafi Raza

agarche waqt munaajat karne waala tha
mera mizaaj savaalaat karne waala tha

mujhe saleeqa na tha raushni se milne ka
main hijr mein guzar-auqaat karne waala tha

main saamne se utha aur lau larzne lagi
charaagh jaise koi baat karne waala tha

khuli hui theen badan par ravaan ravaan aankhen
na jaane kaun mulaqaat karne waala tha

vo mere kaaba-e-dil mein zara si der ruka
ye haj ada vo mere saath karne waala tha

kahaan ye khaak ke tode tale daba hua jism
kahaan main sair-e-samaawaat karne waala tha

अगरचे वक़्त मुनाजात करने वाला था
मिरा मिज़ाज सवालात करने वाला था

मुझे सलीक़ा न था रौशनी से मिलने का
मैं हिज्र में गुज़र-औक़ात करने वाला था

मैं सामने से उठा और लौ लरज़ने लगी
चराग़ जैसे कोई बात करने वाला था

खुली हुई थीं बदन पर रवाँ रवाँ आँखें
न जाने कौन मुलाक़ात करने वाला था

वो मेरे काबा-ए-दिल में ज़रा सी देर रुका
ये हज अदा वो मिरे साथ करने वाला था

कहाँ ये ख़ाक के तोदे तले दबा हुआ जिस्म
कहाँ मैं सैर-ए-समावात करने वाला था

- Rafi Raza
1 Like

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rafi Raza

As you were reading Shayari by Rafi Raza

Similar Writers

our suggestion based on Rafi Raza

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari