aankh mein paani rakho honton pe chingaari rakho | आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो

  - Rahat Indori

aankh mein paani rakho honton pe chingaari rakho
zinda rahna hai to tarkeebein bahut saari rakho

raah ke patthar se badh kar kuchh nahin hain manzilen
raaste awaaz dete hain safar jaari rakho

ek hi naddi ke hain ye do kinaare dosto
dostana zindagi se maut se yaari rakho

aate jaate pal ye kahte hain hamaare kaan mein
kooch ka ailaan hone ko hai tayyaari rakho

ye zaroori hai ki aankhon ka bharam qaaim rahe
neend rakho ya na rakho khwaab meyari rakho

ye hawaaein ud na jaayen le ke kaaghaz ka badan
dosto mujh par koi patthar zara bhari rakho

le to aaye shaayri bazaar mein raahat miyaan
kya zaroori hai ki lehje ko bhi baazaari rakho

आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो
ज़िंदा रहना है तो तरकीबें बहुत सारी रखो

राह के पत्थर से बढ़ कर कुछ नहीं हैं मंज़िलें
रास्ते आवाज़ देते हैं सफ़र जारी रखो

एक ही नद्दी के हैं ये दो किनारे दोस्तो
दोस्ताना ज़िंदगी से मौत से यारी रखो

आते जाते पल ये कहते हैं हमारे कान में
कूच का ऐलान होने को है तय्यारी रखो

ये ज़रूरी है कि आँखों का भरम क़ाएम रहे
नींद रखो या न रखो ख़्वाब मेयारी रखो

ये हवाएँ उड़ न जाएँ ले के काग़ज़ का बदन
दोस्तो मुझ पर कोई पत्थर ज़रा भारी रखो

ले तो आए शाइरी बाज़ार में 'राहत' मियाँ
क्या ज़रूरी है कि लहजे को भी बाज़ारी रखो

  - Rahat Indori

Death Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Death Shayari Shayari