main laakh kah doon ki aakaash hoon zameen hoon main
magar use to khabar hai ki kuchh nahin hoon main
ajeeb log hain meri talash mein mujh ko
wahan pe dhundh rahe hain jahaan nahin hoon main
main aainon se to mayus laut aaya tha
magar kisi ne bataaya bahut haseen hoon main
vo zarre zarre mein maujood hai magar main bhi
kahi kahi hoon kahaan hoon kahi nahin hoon main
vo ik kitaab jo mansoob tere naam se hai
usi kitaab ke andar kahi kahi hoon main
sitaaro aao meri raah mein bikhar jaao
ye mera hukm hai haalaanki kuchh nahin hoon main
yahin husain bhi guzre yahin yazid bhi tha
hazaar rang mein doobi hui zameen hoon main
ye boodhi qabren tumhein kuchh nahin bataaye'ngi
mujhe talash karo dosto yahin hoon main
मैं लाख कह दूँ कि आकाश हूँ ज़मीं हूँ मैं
मगर उसे तो ख़बर है कि कुछ नहीं हूँ मैं
अजीब लोग हैं मेरी तलाश में मुझ को
वहाँ पे ढूँड रहे हैं जहाँ नहीं हूँ मैं
मैं आइनों से तो मायूस लौट आया था
मगर किसी ने बताया बहुत हसीं हूँ मैं
वो ज़र्रे ज़र्रे में मौजूद है मगर मैं भी
कहीं कहीं हूँ कहाँ हूँ कहीं नहीं हूँ मैं
वो इक किताब जो मंसूब तेरे नाम से है
उसी किताब के अंदर कहीं कहीं हूँ मैं
सितारो आओ मिरी राह में बिखर जाओ
ये मेरा हुक्म है हालाँकि कुछ नहीं हूँ मैं
यहीं हुसैन भी गुज़रे यहीं यज़ीद भी था
हज़ार रंग में डूबी हुई ज़मीं हूँ मैं
ये बूढ़ी क़ब्रें तुम्हें कुछ नहीं बताएँगी
मुझे तलाश करो दोस्तो यहीं हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Education Shayari Shayari