sisakti rut ko mahakta gulaab kar doonga | सिसकती रुत को महकता गुलाब कर दूँगा

  - Rahat Indori

sisakti rut ko mahakta gulaab kar doonga
main is bahaar mein sab ka hisaab kar doonga

main intizaar mein hoon tu koi sawaal to kar
yaqeen rakh main tujhe la-jawaab kar doonga

hazaar pardo mein khud ko chhupa ke baith magar
tujhe kabhi na kabhi be-naqaab kar doonga

mujhe bharosa hai apne lahu ke qatron par
main neze neze ko shaakh-e-gulaab kar doonga

mujhe yaqeen ki mehfil ki raushni hoon main
use ye khauf ki mehfil kharab kar doonga

mujhe gilaas ke andar hi qaid rakh warna
main saare shehar ka paani sharaab kar doonga

mahajanon se kaho thoda intizaar karein
sharaab-khaane se aa kar hisaab kar doonga

सिसकती रुत को महकता गुलाब कर दूँगा
मैं इस बहार में सब का हिसाब कर दूँगा

मैं इंतिज़ार में हूँ तू कोई सवाल तो कर
यक़ीन रख मैं तुझे ला-जवाब कर दूँगा

हज़ार पर्दों में ख़ुद को छुपा के बैठ मगर
तुझे कभी न कभी बे-नक़ाब कर दूँगा

मुझे भरोसा है अपने लहू के क़तरों पर
मैं नेज़े नेज़े को शाख़-ए-गुलाब कर दूँगा

मुझे यक़ीन कि महफ़िल की रौशनी हूँ मैं
उसे ये ख़ौफ़ कि महफ़िल ख़राब कर दूँगा

मुझे गिलास के अंदर ही क़ैद रख वर्ना
मैं सारे शहर का पानी शराब कर दूँगा

महाजनों से कहो थोड़ा इंतिज़ार करें
शराब-ख़ाने से आ कर हिसाब कर दूँगा

  - Rahat Indori

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari