zindagi ki har kahaani beasar ho jaayegi
ham na honge to ye duniya dar-b-dar ho jaayegi
paanv patthar karke chhodega agar ruk jaaiye
chalte rahiye to zameen bhi humsafar ho jaayegi
tumne khud hi sar chadhaai thi so ab chakkho maza
main na kehta tha ke duniya dard-e-sar ho jaayegi
talkhiyaan bhi laazimi hain zindagi ke vaaste
itna meetha bankar mat rahiye shakar ho jaayegi
jugnuon ko saath lekar raat raushan kijie
raasta suraj ka dekha to sehar ho jaayegi
ज़िंदगी की हर कहानी बेअसर हो जाएगी
हम ना होंगे तो ये दुनिया दर-ब-दर हो जाएगी
पांव पत्थर करके छोड़ेगी अगर रुक जाइये
चलते रहिए तो ज़मीं भी हमसफ़र हो जाएगी
तुमने ख़ुद ही सर चढ़ाई थी सो अब चक्खो मज़ा
मैं न कहता था के दुनिया दर्द-ए-सर हो जाएगी
तल्खियां भी लाज़िमी हैं ज़िन्दगी के वास्ते
इतना मीठा बनकर मत रहिए शकर हो जाएगी
जुगनुओं को साथ लेकर रात रौशन कीजिए
रास्ता सूरज का देखा तो सहर हो जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Raasta Shayari Shayari