zindagi ki har kahaani be-asar ho jaayegi
ham na honge to ye duniya dar-b-dar ho jaayegi
paav patthar kar ke chhodega agar ruk jaaie
chalte rahiye to zameen bhi hum-safar ho jaayegi
jugnuon ko saath le kar raat raushan kijie
raasta suraj ka dekha to sehar ho jaayegi
zindagi bhi kaash mere saath rahti umr-bhar
khair ab jaise bhi honi hai basar ho jaayegi
tum ne khud hi sar chadhaai thi so ab chakkho maza
main na kehta tha ki duniya dard-e-sar ho jaayegi
talkhiyaan bhi laazmi hain zindagi ke vaaste
itna meetha ban ke mat rahiye shakar ho jaayegi
ज़िंदगी की हर कहानी बे-असर हो जाएगी
हम न होंगे तो ये दुनिया दर-ब-दर हो जाएगी
पावँ पत्थर कर के छोड़ेगी अगर रुक जाइए
चलते रहिए तो ज़मीं भी हम-सफ़र हो जाएगी
जुगनुओं को साथ ले कर रात रौशन कीजिए
रास्ता सूरज का देखा तो सहर हो जाएगी
ज़िंदगी भी काश मेरे साथ रहती उम्र-भर
ख़ैर अब जैसे भी होनी है बसर हो जाएगी
तुम ने ख़ुद ही सर चढ़ाई थी सो अब चक्खो मज़ा
मैं न कहता था कि दुनिया दर्द-ए-सर हो जाएगी
तल्ख़ियाँ भी लाज़मी हैं ज़िंदगी के वास्ते
इतना मीठा बन के मत रहिए शकर हो जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Rishta Shayari Shayari