dilon mein aag labon par gulaab rakhte hain | दिलों में आग लबों पर गुलाब रखते हैं

  - Rahat Indori

dilon mein aag labon par gulaab rakhte hain
sab apne chehron pe dohri naqaab rakhte hain

hamein charaagh samajh kar bujha na paoge
ham apne ghar mein kai aftaab rakhte hain

bahut se log ki jo harf-aashna bhi nahin
isee mein khush hain ki teri kitaab rakhte hain

ye may-kada hai vo masjid hai vo hai but-khaana
kahi bhi jaao farishte hisaab rakhte hain

hamaare shehar ke manzar na dekh paayenge
yahan ke log to aankhon mein khwaab rakhte hain

दिलों में आग लबों पर गुलाब रखते हैं
सब अपने चेहरों पे दोहरी नक़ाब रखते हैं

हमें चराग़ समझ कर बुझा न पाओगे
हम अपने घर में कई आफ़्ताब रखते हैं

बहुत से लोग कि जो हर्फ़-आशना भी नहीं
इसी में ख़ुश हैं कि तेरी किताब रखते हैं

ये मय-कदा है वो मस्जिद है वो है बुत-ख़ाना
कहीं भी जाओ फ़रिश्ते हिसाब रखते हैं

हमारे शहर के मंज़र न देख पाएँगे
यहाँ के लोग तो आँखों में ख़्वाब रखते हैं

  - Rahat Indori

Gulaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Gulaab Shayari Shayari