chamakte lafz sitaaron se cheen laaye hain
ham aasmaan se ghazal ki zameen laaye hain
vo aur honge jo khanjar chhupa ke laate hain
ham apne saath fati aasteen laaye hain
hamaari baat ki gehraai khaak samjhenge
jo parbaton ke liye khurdbeen laaye hain
haso na ham pe ki har bad-naseeb banjaare
saroon pe rakh ke watan ki zameen laaye hain
mere qabeele ke bacchon ke khel bhi hain ajeeb
kisi sipaahi ki talwaar cheen laaye hain
चमकते लफ़्ज़ सितारों से छीन लाए हैं
हम आसमाँ से ग़ज़ल की ज़मीन लाए हैं
वो और होंगे जो ख़ंजर छुपा के लाते हैं
हम अपने साथ फटी आस्तीन लाए हैं
हमारी बात की गहराई ख़ाक समझेंगे
जो पर्बतों के लिए ख़ुर्दबीन लाए हैं
हँसो न हम पे कि हर बद-नसीब बंजारे
सरों पे रख के वतन की ज़मीन लाए हैं
मिरे क़बीले के बच्चों के खेल भी हैं अजीब
किसी सिपाही की तलवार छीन लाए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Baaten Shayari Shayari