faisley lamhaat ke naslon pe bhari ho gaye | फ़ैसले लम्हात के नस्लों पे भारी हो गए

  - Rahat Indori

faisley lamhaat ke naslon pe bhari ho gaye
baap haakim tha magar bete bhikaari ho gaye

deviyaan puhunchiin theen apne baal bikhraaye hue
devta mandir se nikle aur pujaari ho gaye

raushni ki jang mein taariqiyaan paida hui
chaand paagal ho gaya taare bhikaari ho gaye

rakh diye jaayenge neze lafz aur honton ke beech
zill-e-subhaani ke ahkaamaat jaari ho gaye

narm-o-naazuk halke-phulke rooi jaise khwaab the
aansuon mein bheegne ke ba'ad bhari ho gaye

फ़ैसले लम्हात के नस्लों पे भारी हो गए
बाप हाकिम था मगर बेटे भिकारी हो गए

देवियाँ पहुँचीं थीं अपने बाल बिखराए हुए
देवता मंदिर से निकले और पुजारी हो गए

रौशनी की जंग में तारीकियाँ पैदा हुईं
चाँद पागल हो गया तारे भिकारी हो गए

रख दिए जाएँगे नेज़े लफ़्ज़ और होंटों के बीच
ज़िल्ल-ए-सुब्हानी के अहकामात जारी हो गए

नर्म-ओ-नाज़ुक हल्के-फुल्के रूई जैसे ख़्वाब थे
आँसुओं में भीगने के बा'द भारी हो गए

  - Rahat Indori

Fasad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Fasad Shayari Shayari