mujhe dubo ke bahut sharmasaar rahti hai
vo ek mauj jo dariya ke paar rahti hai
hamaare taq bhi be-zaar hain ujaalon se
diye ki lau bhi hawa par sawaar rahti hai
phir us ke ba'ad wahi baasi manzaron ke juloos
bahaar chand hi lamhe bahaar rahti hai
isee se qarz chukaaye hain main ne sadiyon ke
ye zindagi jo hamesha udhaar rahti hai
hamaari shehar ke daanishwaron se yaari hai
isee liye to qaba taar taar rahti hai
mujhe khareedne waalo qataar mein aao
vo cheez hoon jo pas-e-ishtihhaar rahti hai
मुझे डुबो के बहुत शर्मसार रहती है
वो एक मौज जो दरिया के पार रहती है
हमारे ताक़ भी बे-ज़ार हैं उजालों से
दिए की लौ भी हवा पर सवार रहती है
फिर उस के बा'द वही बासी मंज़रों के जुलूस
बहार चंद ही लम्हे बहार रहती है
इसी से क़र्ज़ चुकाए हैं मैं ने सदियों के
ये ज़िंदगी जो हमेशा उधार रहती है
हमारी शहर के दानिशवरों से यारी है
इसी लिए तो क़बा तार तार रहती है
मुझे ख़रीदने वालो क़तार में आओ
वो चीज़ हूँ जो पस-ए-इश्तिहार रहती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Nadii Shayari Shayari