andar ka zahar choom liya dhul ke aa gaye | अंदर का ज़हर चूम लिया धुल के आ गए

  - Rahat Indori

andar ka zahar choom liya dhul ke aa gaye
kitne shareef log the sab khul ke aa gaye

suraj se jang jeetne nikle the bewaqoof
saare sipaahi mom ke the ghul ke aa gaye

masjid mein door door koi doosra na tha
ham aaj apne aap se mil-jul ke aa gaye

neendon se jang hoti rahegi tamaam umr
aankhon mein band khwaab agar khul ke aa gaye

suraj ne apni shakl bhi dekhi thi pehli baar
aaine ko maze bhi taqaabul ke aa gaye

anjaane saaye firne lage hain idhar udhar
mausam hamaare shehar mein kaabul ke aa gaye

अंदर का ज़हर चूम लिया धुल के आ गए
कितने शरीफ़ लोग थे सब खुल के आ गए

सूरज से जंग जीतने निकले थे बेवक़ूफ़
सारे सिपाही मोम के थे घुल के आ गए

मस्जिद में दूर दूर कोई दूसरा न था
हम आज अपने आप से मिल-जुल के आ गए

नींदों से जंग होती रहेगी तमाम उम्र
आँखों में बंद ख़्वाब अगर खुल के आ गए

सूरज ने अपनी शक्ल भी देखी थी पहली बार
आईने को मज़े भी तक़ाबुल के आ गए

अनजाने साए फिरने लगे हैं इधर उधर
मौसम हमारे शहर में काबुल के आ गए

  - Rahat Indori

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rahat Indori

As you were reading Shayari by Rahat Indori

Similar Writers

our suggestion based on Rahat Indori

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari