bulaati hai magar jaane ka nahin
ye duniya hai idhar jaane ka nahin
mere bete kisi se ishq kar
magar had se guzar jaane ka nahin
zameen bhi sar pe rakhni ho to rakho
chale ho to thehar jaane ka nahin
sitaare noch kar le jaaunga
main khaali haath ghar jaane ka nahin
vaba phaili hui hai har taraf
abhi maahol mar jaane ka nahin
vo gardan naapta hai naap le
magar zaalim se dar jaane ka nahin
बुलाती है मगर जाने का नहीं
ये दुनिया है इधर जाने का नहीं
मेरे बेटे किसी से इश्क़ कर
मगर हद से गुज़र जाने का नहीं
ज़मीं भी सर पे रखनी हो तो रखो
चले हो तो ठहर जाने का नहीं
सितारे नोच कर ले जाऊंगा
मैं खाली हाथ घर जाने का नहीं
वबा फैली हुई है हर तरफ
अभी माहौल मर जाने का नहीं
वो गर्दन नापता है नाप ले
मगर जालिम से डर जाने का नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Ulfat Shayari Shayari