ja ke ye kah de koi sholon se chingaari se
phool is baar khile hain badi tayyaari se
apni har saans ko neelaam kiya hai main ne
log aasaan hue hain badi dushwaari se
zehan mein jab bhi tire khat ki ibaarat chamki
ek khushboo si nikalne lagi almaari se
shahzaade se mulaqaat to naa-mumkin hai
chaliye mil aate hain chal kar kisi darbaari se
baadshaahon se bhi fenke hue sikke na liye
ham ne khairaat bhi maangi hai to khuddaari se
जा के ये कह दे कोई शोलों से चिंगारी से
फूल इस बार खिले हैं बड़ी तय्यारी से
अपनी हर साँस को नीलाम किया है मैं ने
लोग आसान हुए हैं बड़ी दुश्वारी से
ज़ेहन में जब भी तिरे ख़त की इबारत चमकी
एक ख़ुश्बू सी निकलने लगी अलमारी से
शाहज़ादे से मुलाक़ात तो ना-मुम्किन है
चलिए मिल आते हैं चल कर किसी दरबारी से
बादशाहों से भी फेंके हुए सिक्के न लिए
हम ने ख़ैरात भी माँगी है तो ख़ुद्दारी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Khushboo Shayari Shayari