sab ki pagdi ko hawaon mein uchhaala jaaye
sochta hoon koi akhbaar nikala jaaye
pee ke jo mast hain un se to koi khauf nahin
pee ke jo hosh mein hain un ko sambhaala jaaye
aasmaan hi nahin ik chaand bhi rehta hai yahan
bhool kar bhi kabhi patthar na uchhaala jaaye
सब की पगड़ी को हवाओं में उछाला जाए
सोचता हूँ कोई अख़बार निकाला जाए
पी के जो मस्त हैं उन से तो कोई ख़ौफ़ नहीं
पी के जो होश में हैं उन को सँभाला जाए
आसमाँ ही नहीं इक चाँद भी रहता है यहाँ
भूल कर भी कभी पत्थर न उछाला जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Wahshat Shayari Shayari