sar par saath aakaash zameen par saath samundar bikhre hain
aankhen chhoti pad jaati hain itne manzar bikhre hain
zinda rahna khel nahin hai is aabaad kharaabe mein
vo bhi akshar toot gaya hai ham bhi akshar bikhre hain
us basti ke logon se jab baatein keen to ye jaana
duniya bhar ko jodne waale andar andar bikhre hain
in raaton se apna rishta jaane kaisa rishta hai
neenden kamron mein jaagi hain khwaab chhato par bikhre hain
aangan ke ma'soom shajar ne ek kahaani likkhi hai
itne fal shaakhon pe nahin the jitne patthar bikhre hain
saari dharti saare mausam ek hi jaise lagte hain
aankhon aankhon qaid hue the manzar manzar bikhre hain
सर पर सात आकाश ज़मीं पर सात समुंदर बिखरे हैं
आँखें छोटी पड़ जाती हैं इतने मंज़र बिखरे हैं
ज़िंदा रहना खेल नहीं है इस आबाद ख़राबे में
वो भी अक्सर टूट गया है हम भी अक्सर बिखरे हैं
उस बस्ती के लोगों से जब बातें कीं तो ये जाना
दुनिया भर को जोड़ने वाले अंदर अंदर बिखरे हैं
इन रातों से अपना रिश्ता जाने कैसा रिश्ता है
नींदें कमरों में जागी हैं ख़्वाब छतों पर बिखरे हैं
आँगन के मा'सूम शजर ने एक कहानी लिक्खी है
इतने फल शाख़ों पे नहीं थे जितने पत्थर बिखरे हैं
सारी धरती सारे मौसम एक ही जैसे लगते हैं
आँखों आँखों क़ैद हुए थे मंज़र मंज़र बिखरे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Romantic Shayari Shayari