apne deewar-o-dar se poochte hain
ghar ke haalaat ghar se poochte hain
kyun akela hain qafile waale
ek ik hum-safar se poochte hain
kya kabhi zindagi bhi dekhenge
bas yahi umr-bhar se poochte hain
jurm hai khwaab dekhna bhi kya
raat-bhar chashm-e-tar se poochte hain
ye mulaqaat aakhiri to nahin
ham judaai ke dar se poochte hain
zakham ka naam phool kaise pada
tere dast-e-hunar se poochte hain
kitne jungle hain in makaanon mein
bas yahi shehar bhar se poochte hain
ye jo deewaar hai ye kis ki hai
ham idhar vo udhar se poochte hain
hain kaneezen bhi is mahal mein kya
shah-zaadon ke dar se poochte hain
kya kahi qatl ho gaya suraj
raat se raat-bhar se poochte hain
kaun waaris hai chaanv ka aakhir
dhoop mein hum-safar se poochte hain
ye kinaare bhi kitne saada hain
kashtiyon ko bhanwar se poochte hain
vo guzarta to hoga ab tanhaa
ek ik raahguzaar se poochte hain
अपने दीवार-ओ-दर से पूछते हैं
घर के हालात घर से पूछते हैं
क्यूँ अकेले हैं क़ाफ़िले वाले
एक इक हम-सफ़र से पूछते हैं
क्या कभी ज़िंदगी भी देखेंगे
बस यही उम्र-भर से पूछते हैं
जुर्म है ख़्वाब देखना भी क्या
रात-भर चश्म-ए-तर से पूछते हैं
ये मुलाक़ात आख़िरी तो नहीं
हम जुदाई के डर से पूछते हैं
ज़ख़्म का नाम फूल कैसे पड़ा
तेरे दस्त-ए-हुनर से पूछते हैं
कितने जंगल हैं इन मकानों में
बस यही शहर भर से पूछते हैं
ये जो दीवार है ये किस की है
हम इधर वो उधर से पूछते हैं
हैं कनीज़ें भी इस महल में क्या
शाह-ज़ादों के डर से पूछते हैं
क्या कहीं क़त्ल हो गया सूरज
रात से रात-भर से पूछते हैं
कौन वारिस है छाँव का आख़िर
धूप में हम-सफ़र से पूछते हैं
ये किनारे भी कितने सादा हैं
कश्तियों को भँवर से पूछते हैं
वो गुज़रता तो होगा अब तन्हा
एक इक रहगुज़र से पूछते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Wahshat Shayari Shayari