kabhi dimaagh kabhi dil kabhi nazar mein raho
ye sab tumhaare hi ghar hain kisi bhi ghar mein raho
jala na lo kahi hamdardiyon mein apna vujood
gali mein aag lagi ho to apne ghar mein raho
tumhein pata ye chale ghar ki raahatein kya hain
hamaari tarah agar chaar din safar mein raho
hai ab ye haal ki dar dar bhatkte firte hain
ghamon se main ne kaha tha ki mere ghar mein raho
kisi ko zakham diye hain kisi ko phool diye
buri ho chahe bhali ho magar khabar mein raho
कभी दिमाग़ कभी दिल कभी नज़र में रहो
ये सब तुम्हारे ही घर हैं किसी भी घर में रहो
जला न लो कहीं हमदर्दियों में अपना वजूद
गली में आग लगी हो तो अपने घर में रहो
तुम्हें पता ये चले घर की राहतें क्या हैं
हमारी तरह अगर चार दिन सफ़र में रहो
है अब ये हाल कि दर दर भटकते फिरते हैं
ग़मों से मैं ने कहा था कि मेरे घर में रहो
किसी को ज़ख़्म दिए हैं किसी को फूल दिए
बुरी हो चाहे भली हो मगर ख़बर में रहो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Mashwara Shayari Shayari