kaam sab ghair-zaroori hain jo sab karte hain
aur ham kuchh nahin karte hain gazab karte hain
aap ki nazaron mein suraj ki hai jitni azmat
ham charaagon ka bhi utna hi adab karte hain
ham pe haakim ka koi hukm nahin chalta hai
ham qalander hain shahenshah laqab karte hain
dekhiye jis ko use dhun hai masihaai ki
aaj kal shehar ke beemaar matb karte hain
khud ko patthar sa bana rakha hai kuchh logon ne
bol sakte hain magar baat hi kab karte hain
ek ik pal ko kitaabon ki tarah padhne lage
umr bhar jo na kiya ham ne vo ab karte hain
काम सब ग़ैर-ज़रूरी हैं जो सब करते हैं
और हम कुछ नहीं करते हैं ग़ज़ब करते हैं
आप की नज़रों में सूरज की है जितनी अज़्मत
हम चराग़ों का भी उतना ही अदब करते हैं
हम पे हाकिम का कोई हुक्म नहीं चलता है
हम क़लंदर हैं शहंशाह लक़ब करते हैं
देखिए जिस को उसे धुन है मसीहाई की
आज कल शहर के बीमार मतब करते हैं
ख़ुद को पत्थर सा बना रक्खा है कुछ लोगों ने
बोल सकते हैं मगर बात ही कब करते हैं
एक इक पल को किताबों की तरह पढ़ने लगे
उम्र भर जो न किया हम ने वो अब करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Shehar Shayari Shayari