dosti jab kisi se ki jaaye
dushmanon ki bhi raay li jaaye
maut ka zahar hai fazaaon mein
ab kahaan ja ke saans li jaaye
bas isee soch mein hoon dooba hua
ye nadi kaise paar ki jaaye
agle waqton ke zakham bharne lage
aaj phir koi bhool ki jaaye
lafz dharti pe sar patkate hain
gumbadon mein sada na di jaaye
kah do is ahad ke buzurgon se
zindagi ki dua na di jaaye
bottlein khol ke to pee barson
aaj dil khol kar hi pee jaaye
दोस्ती जब किसी से की जाए
दुश्मनों की भी राय ली जाए
मौत का ज़हर है फ़ज़ाओं में
अब कहाँ जा के साँस ली जाए
बस इसी सोच में हूँ डूबा हुआ
ये नदी कैसे पार की जाए
अगले वक़्तों के ज़ख़्म भरने लगे
आज फिर कोई भूल की जाए
लफ़्ज़ धरती पे सर पटकते हैं
गुम्बदों में सदा न दी जाए
कह दो इस अहद के बुज़ुर्गों से
ज़िंदगी की दुआ न दी जाए
बोतलें खोल के तो पी बरसों
आज दिल खोल कर ही पी जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari