beemaar ko marz ki dava deni chahiye
main peena chahta hoon pila deni chahiye
allah barkaton se nawaazega ishq mein
hai jitni pounji paas laga deni chahiye
dil bhi kisi faqeer ke hujre se kam nahin
duniya yahin pe la ke chhupa deni chahiye
main khud bhi karna chahta hoon apna saamna
tujh ko bhi ab naqaab utha deni chahiye
main phool hoon to phool ko gul-daan ho naseeb
main aag hoon to aag bujha deni chahiye
main taaj hoon to taaj ko sar par sajaayein log
main khaak hoon to khaak uda deni chahiye
main jabr hoon to jabr ki taaid band ho
main sabr hoon to mujh ko dua deni chahiye
main khwaab hoon to khwaab se chaunkaaiye mujhe
main neend hoon to neend uda deni chahiye
sach baat kaun hai jo sar-e-aam kah sake
main kah raha hoon mujh ko saza deni chahiye
बीमार को मरज़ की दवा देनी चाहिए
मैं पीना चाहता हूँ पिला देनी चाहिए
अल्लाह बरकतों से नवाज़ेगा इश्क़ में
है जितनी पूँजी पास लगा देनी चाहिए
दिल भी किसी फ़क़ीर के हुजरे से कम नहीं
दुनिया यहीं पे ला के छुपा देनी चाहिए
मैं ख़ुद भी करना चाहता हूँ अपना सामना
तुझ को भी अब नक़ाब उठा देनी चाहिए
मैं फूल हूँ तो फूल को गुल-दान हो नसीब
मैं आग हूँ तो आग बुझा देनी चाहिए
मैं ताज हूँ तो ताज को सर पर सजाएँ लोग
मैं ख़ाक हूँ तो ख़ाक उड़ा देनी चाहिए
मैं जब्र हूँ तो जब्र की ताईद बंद हो
मैं सब्र हूँ तो मुझ को दुआ देनी चाहिए
मैं ख़्वाब हूँ तो ख़्वाब से चौंकाइए मुझे
मैं नींद हूँ तो नींद उड़ा देनी चाहिए
सच बात कौन है जो सर-ए-आम कह सके
मैं कह रहा हूँ मुझ को सज़ा देनी चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Rose Shayari Shayari