haath khaali hain tire shehar se jaate jaate
jaan hoti to meri jaan lutate jaate
ab to har haath ka patthar hamein pahchaanta hai
umr guzri hai tire shehar mein aate jaate
ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke
ja rahe the to koi zakham lagaate jaate
renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna
ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate
main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha
tum to dariya the meri pyaas bujhaate jaate
mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad
log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate
ham se pehle bhi musaafir kai guzre honge
kam se kam raah ke patthar to hataate jaate
हाथ ख़ाली हैं तिरे शहर से जाते जाते
जान होती तो मिरी जान लुटाते जाते
अब तो हर हाथ का पत्थर हमें पहचानता है
उम्र गुज़री है तिरे शहर में आते जाते
अब के मायूस हुआ यारों को रुख़्सत कर के
जा रहे थे तो कोई ज़ख़्म लगाते जाते
रेंगने की भी इजाज़त नहीं हम को वर्ना
हम जिधर जाते नए फूल खिलाते जाते
मैं तो जलते हुए सहराओं का इक पत्थर था
तुम तो दरिया थे मिरी प्यास बुझाते जाते
मुझ को रोने का सलीक़ा भी नहीं है शायद
लोग हँसते हैं मुझे देख के आते जाते
हम से पहले भी मुसाफ़िर कई गुज़रे होंगे
कम से कम राह के पत्थर तो हटाते जाते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Shehar Shayari Shayari