ajnabi khwaahishein seene mein daba bhi na sakoon
aise ziddi hain parinde ki uda bhi na sakoon
phoonk daaloonga kisi roz main dil ki duniya
ye tira khat to nahin hai ki jila bhi na sakoon
meri ghairat bhi koi shay hai ki mehfil mein mujhe
us ne is tarah bulaaya hai ki ja bhi na sakoon
fal to sab mere darakhton ke pake hain lekin
itni kamzor hain shaakhen ki hila bhi na sakoon
ik na ik roz kahi dhundh hi loonga tujh ko
thokren zahar nahin hain ki main kha bhi na sakoon
अजनबी ख़्वाहिशें सीने में दबा भी न सकूँ
ऐसे ज़िद्दी हैं परिंदे कि उड़ा भी न सकूँ
फूँक डालूँगा किसी रोज़ मैं दिल की दुनिया
ये तिरा ख़त तो नहीं है कि जिला भी न सकूँ
मिरी ग़ैरत भी कोई शय है कि महफ़िल में मुझे
उस ने इस तरह बुलाया है कि जा भी न सकूँ
फल तो सब मेरे दरख़्तों के पके हैं लेकिन
इतनी कमज़ोर हैं शाख़ें कि हिला भी न सकूँ
इक न इक रोज़ कहीं ढूँड ही लूँगा तुझ को
ठोकरें ज़हर नहीं हैं कि मैं खा भी न सकूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahat Indori
our suggestion based on Rahat Indori
As you were reading Mehman Shayari Shayari