vasl ke marhale se hijr ki manzil ki taraf
ishq mein badh rahe hain aakhiri mushkil ki taraf
laakh samjhaata hoon main us ko magar hote hi shaam
ek hasrat chali aati hai mere dil ki taraf
be-niyaazaana tiri or chale to the par ab
ghaur se dekhte hain hasrat-e-haail ki taraf
shehar ka shehar hai aashob ki zad mein so yahan
kis ko furqat hai ki dekhe haq-o-baatil ki taraf
वस्ल के मरहले से हिज्र की मंज़िल की तरफ़
इश्क़ में बढ़ रहे हैं आख़िरी मुश्किल की तरफ़
लाख समझाता हूँ मैं उस को मगर होते ही शाम
एक हसरत चली आती है मिरे दिल की तरफ
बे-नियाज़ाना तिरी ओर चले तो थे पर अब
ग़ौर से देखते हैं हसरत-ए-हाइल की तरफ़
शहर का शहर है आशोब की ज़द में सो यहाँ
किस को फ़ुर्सत है कि देखे हक़-ओ-बातिल की तरफ़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rahul Jha
our suggestion based on Rahul Jha
As you were reading Shaam Shayari Shayari