kinaare par jo milta hai samandar mein nahin rehta | किनारे पर जो मिलता है समंदर में नहीं रहता

  - Raj Tiwari

kinaare par jo milta hai samandar mein nahin rehta
usi par aata hai dil jo muqaddar mein nahin rehta

ki pehle ek aaina sajaana tod dena phir
ye bhi to ik hunar hai jo ki shayar mein nahin rehta

agar vo hote insaan to samjhte phir muhabbat ko
dhadkata ho agar dil to vo patthar mein nahin rehta

mere ghar aaye the vo chaand ka rishta liye apne
zameen ka phool to us ke barabar mein nahin rehta

khuda se kaise maangu main muqaddar mein use mere
kinaara koi bhi ho par vo saagar mein nahin rehta

bina tere main kaise baag se tere nikal aaun
nikal aata agar to main mere ghar mein nahin rehta

zamaana ye parinde ko kab udne deta hai khulkar
parinda ud gaya to phir vo pinjar mein nahin rehta

kabhi aaya tha silne koi toota hua dil raaj
ye seene ka hunar koi rafugar mein nahin rehta

किनारे पर जो मिलता है समंदर में नहीं रहता
उसी पर आता है दिल जो मुकद्दर में नहीं रहता

की पहले एक आईना सजाना तोड़ देना फिर
ये भी तो इक हुनर है जो की शायर में नहीं रहता

अगर वो होते इंसाँ तो समझते फिर मुहब्बत को
धड़कता हो अगर दिल तो वो पत्थर में नहीं रहता

मिरे घर आए थे वो चाँद का रिश्ता लिए अपने
ज़मीं का फूल तो उस के बराबर में नहीं रहता

खुदा से कैसे माँगू मैं मुकद्दर में उसे मेरे
किनारा कोई भी हो पर वो सागर में नहीं रहता

बिना तेरे मैं कैसे बाग़ से तेरे निकल आऊँ
निकल आता अगर तो मैं मेरे घर में नहीं रहता

ज़माना ये परिंदे को कब उड़ने देता है खुलकर
परिंदा उड़ गया तो फिर वो पिंजर में नहीं रहता

कभी आया था सिलने कोई टूटा हुआ दिल राज
ये सीने का हुनर कोई रफ़ूगर में नहीं रहता

  - Raj Tiwari

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raj Tiwari

As you were reading Shayari by Raj Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Raj Tiwari

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari