ik kahaani mujhe yaad aati rahe
chaand taaron kii baatein sunaati rahe
vo mujhe yaad karti rahe har samay
yaad uski mujhe bhi bulaati rahe
shaakh gul ye hawa ye nadi ye mahak
koii dhun banke mujhmein samaati rahe
dil lagana ghalat baat hogi magar
zindagi mujhse dil-vil lagati rahe
bojh mujhpe hai ghar ka main maa se sunoon
baat chahe mujhe ye sataati rahe
log jaaye to jaane do raunak magar
ye udaasi koii naghma gaati rahe
इक कहानी मुझे याद आती रहे
चाँद तारों की बातें सुनाती रहे
वो मुझे याद करती रहे हर समय
याद उसकी मुझे भी बुलाती रहे
शाख़ गुल ये हवा ये नदी ये महक
कोई धुन बनके मुझमें समाती रहे
दिल लगाना ग़लत बात होगी मगर
ज़िंदगी मुझसे दिल-विल लगाती रहे
बोझ मुझपे है घर का मैं माँ से सुनूँ
बात चाहे मुझे ये सताती रहे
लोग जाए तो जाने दो 'रौनक' मगर
ये उदासी कोई नग़्मा गाती रहे
As you were reading Shayari by Raunak Karn
our suggestion based on Raunak Karn
As you were reading undefined Shayari