dahakne lag gaye rukhsar-o-lab charaagh ke saath
to maine taak mein bhar daali shab charaagh ke saath
tumhaare saath mujhe dekh kar kaheinge log
hawa ki dosti aise ghazab charaagh ke saath
main uski roshni poore nagar mein baantoon'gi
mera muaamla aisa hai ab charaagh ke saath
nahin ai dost andhera hamein bhi raas na tha
hamaari dushmani hoti thi tab charaagh ke saath
hamaari aankh bujha do magar khyaal rahe
jalenge khwaab tumhaare bhi sab charaagh ke saath
दहकने लग गए रुख़सार-औ-लब चराग़ के साथ
तो मैंने ताक में भर डाली शब चराग़ के साथ
तुम्हारे साथ मुझे देख कर कहेंगे लोग
हवा की दोस्ती ऐसे ग़ज़ब चराग़ के साथ
मैं उसकी रोशनी पूरे नगर में बांटूँगी
मेरा मुआमला ऐसा है अब चराग़ के साथ
नहीं ऐ दोस्त अँधेरा हमें भी रास न था
हमारी दुश्मनी होती थी तब चराग़ के साथ
हमारी आँख बुझा दो मग़र ख़्याल रहे
जलेंगे ख़्वाब तुम्हारे भी सब चराग़ के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ruqayyah Maalik
our suggestion based on Ruqayyah Maalik
As you were reading Rahbar Shayari Shayari