kitaaben shahr se jungle se phool la ke do
hamaare kamre ke deewaron dar saja ke do
hamaare khwaab mein tum bhi ho aur gulaab bhi hain
hamaare khwaab mein ik aaina laga ke do
ye moch aayi mujhe aasmaan se girne par
kisi ne mujh se kaha tha ki chaand la ke do
mujhe bhi sheesh mahal dekhne ki khwaahish hai
mujhe us aankh talak raasta bana ke do
किताबें शह्र से जंगल से फूल ला के दो
हमारे कमरे के दीवारों दर सजा के दो
हमारे ख़्वाब में तुम भी हो और गुलाब भी हैं
हमारे ख़्वाब में इक आईना लगा के दो
ये मोच आई मुझे आसमाँ से गिरने पर
किसी ने मुझ से कहा था कि चाँद ला के दो
मुझे भी शीश महल देखने की ख़्वाहिश है
मुझे उस आँख तलक रास्ता बना के दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ruqayyah Maalik
our suggestion based on Ruqayyah Maalik
As you were reading Basant Shayari Shayari