banda-parvar nazar nahin aata | बंदा-परवर नज़र नहीं आता

  - Saarthi Baidyanath

banda-parvar nazar nahin aata
koi rahbar nazar nahin aata

jis bashar ki talash hai mujhko
vo kahi par nazar nahin aata

aasmaan se zameen dikhti hai
par mera ghar nazar nahin aata

jo hawa ka ghuroor tod sake
aisa patthar nazar nahin aata

chaandni raat hai magar phir bhi
chaand chat par nazar nahin aata

बंदा-परवर नज़र नहीं आता
कोई रहबर नज़र नहीं आता

जिस बशर की तलाश है मुझको
वो कहीं पर नज़र नहीं आता

आसमाँ से ज़मीन दिखती है
पर मेरा घर नज़र नहीं आता

जो हवा का ग़ुरूर तोड़ सके
ऐसा पत्थर नज़र नहीं आता

चाँदनी रात है मगर फिर भी
चाँद छत पर नज़र नहीं आता

  - Saarthi Baidyanath

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saarthi Baidyanath

As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath

Similar Writers

our suggestion based on Saarthi Baidyanath

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari