shokh nazon ke ishaare ho gaye
khushnuma saare nazare ho gaye
baadlon ki qaid mein hai aasmaan
aaj ham phir besahaare ho gaye
ishq ham par is qadar taari hua
ham samandar ham kagaare ho gaye
dekhkar har simt phaili teergi
inqlaabi chaand-taare ho gaye
shaayri sabki dulaari kya hui
saarthi sabke dulaare ho gaye
शोख़ नज़रों के इशारे हो गए
ख़ुशनुमा सारे नज़ारे हो गए
बादलों की क़ैद में है आसमाँ
आज हम फिर बेसहारे हो गए
इश्क़ हम पर इस क़दर तारी हुआ
हम समंदर हम कगारे हो गए
देखकर हर सिम्त फैली तीरगी
इंक़लाबी चाँद-तारे हो गए
शाइरी सबकी दुलारी क्या हुई
‘सारथी’ सबके दुलारे हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath
our suggestion based on Saarthi Baidyanath
As you were reading Crime Shayari Shayari