ek tamannaa aisi jo darkaar nahin | एक तमन्ना ऐसी जो दरकार नहीं - Sabahat Urooj

ek tamannaa aisi jo darkaar nahin
ek paheli hai jo pur-asraar nahin

kahi pe ghar khaali hai koi log nahin
kahi pe log bahut hain par deewaar nahin

tera us ko chhod ke jeena aisa hai
ek kahaani poori hai kirdaar nahin

milne ki ummeed kahi par rakhi hai
bojh kisi ke hijr ka hai jo baar nahin

ek suhoolat haasil ho jaaye mujh ko
us ki khaatir lekin main taiyyaar nahin

bhaav nahin maaloom ki kis ka kitna hai
main be-mol to hoon lekin be-kaar nahin

ham-aahang bhi hote hain par duniya mein
tere mere jaisi kuch takraar nahin

kam hai lekin achha khaasa likkha hai
she'r ka matlab she'r hai ab ambaar nahin

एक तमन्ना ऐसी जो दरकार नहीं
एक पहेली है जो पुर-असरार नहीं

कहीं पे घर ख़ाली है कोई लोग नहीं
कहीं पे लोग बहुत हैं पर दीवार नहीं

तेरा उस को छोड़ के जीना ऐसा है
एक कहानी पूरी है किरदार नहीं

मिलने की उम्मीद कहीं पर रक्खी है
बोझ किसी के हिज्र का है जो बार नहीं

एक सुहूलत हासिल हो जाए मुझ को
उस की ख़ातिर लेकिन मैं तय्यार नहीं

भाव नहीं मालूम कि किस का कितना है
मैं बे-मोल तो हूँ लेकिन बे-कार नहीं

हम-आहंग भी होते हैं पर दुनिया में
तेरे मेरे जैसी कुछ तकरार नहीं

कम है लेकिन अच्छा ख़ासा लिक्खा है
शे'र का मतलब शे'र है अब अम्बार नहीं

- Sabahat Urooj
0 Likes

Motivational Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabahat Urooj

As you were reading Shayari by Sabahat Urooj

Similar Writers

our suggestion based on Sabahat Urooj

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari Shayari