jism se raahguzaar banaate hain
aa mohabbat ko shar banaate hain
sirf deewar-o-dar banaate hain
aur daava hai ghar banaate hain
khud ko baar-e-digar banaate hain
aur ab soch kar banaate hain
aaj lakdi ke jod kar takhte
doob jaane ka dar banaate hain
jin ke paanv vo kaat lete hain
un ke jismoon pe sar banaate hain
ye lutere hi mere mohsin hain
band galiyon mein dar banaate hain
us ne udna hai aur samton mein
aaiye baal-o-par banaate hain
ham ne jaana nahin kahi bhi tu
kyun ye raah-e-safar banaate hain
ab sabahat khuda bane hain vo
ab vo shams-o-qamar banaate hain
जिस्म से रहगुज़र बनाते हैं
आ मोहब्बत को शर बनाते हैं
सिर्फ़ दीवार-ओ-दर बनाते हैं
और दावा है घर बनाते हैं
ख़ुद को बार-ए-दिगर बनाते हैं
और अब सोच कर बनाते हैं
आज लकड़ी के जोड़ कर तख़्ते
डूब जाने का डर बनाते हैं
जिन के पाँव वो काट लेते हैं
उन के जिस्मों पे सर बनाते हैं
ये लुटेरे ही मेरे मोहसिन हैं
बंद गलियों में दर बनाते हैं
उस ने उड़ना है और सम्तों में
आइए बाल-ओ-पर बनाते हैं
हम ने जाना नहीं कहीं भी तू
क्यों ये राह-ए-सफ़र बनाते हैं
अब 'सबाहत' ख़ुदा बने हैं वो
अब वो शम्स-ओ-क़मर बनाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabahat Urooj
our suggestion based on Sabahat Urooj
As you were reading Kamar Shayari Shayari