ham ne is dhoop se amaan ke liye | हम ने इस धूप से अमाँ के लिए

  - Sabahat Urooj

ham ne is dhoop se amaan ke liye
jism taane hain saaebaan ke liye

aankh manzar se aashna hi nahin
lafz dhunde hain phir zabaan ke liye

mujh pe fenke gaye the jo patthar
main ne rakhe hain vo makaan ke liye

khud-farebi to ab nahin mumkin
khwaab dekhe hain bas jahaan ke liye

ham jo bheje gaye hain duniya mein
ek ta'na hain aasmaan ke liye

koi khwaahish adhuri rah jaaye
koi heela ho ab fugaan ke liye

jin ki manzil unhen mayassar ho
vo nikalte hain phir kahaan ke liye

ham udaasi ki ik shabeeh hain ab
isti'aara hain ham khizaan ke liye

हम ने इस धूप से अमाँ के लिए
जिस्म ताने हैं साएबाँ के लिए

आँख मंज़र से आश्ना ही नहीं
लफ़्ज़ ढूँडे हैं फिर ज़बाँ के लिए

मुझ पे फेंके गए थे जो पत्थर
मैं ने रक्खे हैं वो मकाँ के लिए

ख़ुद-फ़रेबी तो अब नहीं मुमकिन
ख़्वाब देखे हैं बस जहाँ के लिए

हम जो भेजे गए हैं दुनिया में
एक ता'ना हैं आसमाँ के लिए

कोई ख़्वाहिश अधूरी रह जाए
कोई हीला हो अब फ़ुग़ाँ के लिए

जिन की मंज़िल उन्हें मयस्सर हो
वो निकलते हैं फिर कहाँ के लिए

हम उदासी की इक शबीह हैं अब
इस्तिआ'रा हैं हम ख़िज़ाँ के लिए

  - Sabahat Urooj

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabahat Urooj

As you were reading Shayari by Sabahat Urooj

Similar Writers

our suggestion based on Sabahat Urooj

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari