zeest mahv-e-sahaab ho jaise
mujh mein tera shabaab ho jaise
is aqeedat se chup hi rahte hain
teri sunna savaab ho jaise
rakh ke sar pe gali mein bechi hai
ye mohabbat azaab ho jaise
us ki nazaron mein der tak dekha
meri aankhon ka khwaab ho jaise
tere dar pe sukoon nahin milta
meri niyyat kharab ho jaise
us ke khat ko sanbhaal rakha hai
ik muqaddas kitaab ho jaise
aise rakha raha kitaabon mein
husn us ka gulaab ho jaise
justuju ki ye maut hai sahab
tera milna saraab ho jaise
ज़ीस्त महव-ए-सहाब हो जैसे
मुझ में तेरा शबाब हो जैसे
इस अक़ीदत से चुप ही रहते हैं
तेरी सुनना सवाब हो जैसे
रख के सर पे गली में बेची है
ये मोहब्बत अज़ाब हो जैसे
उस की नज़रों में देर तक देखा
मेरी आँखों का ख़्वाब हो जैसे
तेरे दर पे सुकूँ नहीं मिलता
मेरी निय्यत ख़राब हो जैसे
उस के ख़त को सँभाल रक्खा है
इक मुक़द्दस किताब हो जैसे
ऐसे रखा रहा किताबों में
हुस्न उस का गुलाब हो जैसे
जुस्तुजू की ये मौत है साहब
तेरा मिलना सराब हो जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabahat Urooj
our suggestion based on Sabahat Urooj
As you were reading Ilm Shayari Shayari