apna har dukh fasana sunaao mujhe | अपना हर दुख फ़साना सुनाओ मुझे

  - Sagar Sahab Badayuni

apna har dukh fasana sunaao mujhe
main hoon aadam ka beta batao mujhe

haath par chot ye kis tarah lag gai
kaanch toota hai ya dil dikhaao mujhe

tumne seekha hai kis se ye dil todna
ye hunar ho sake to sikhaao mujhe

tum bhi sabki tarah bhool jaana mujhe
main nahin hoon ke vaada nibhaao mujhe

tum agar chahti ho ke tum khush raho
ik imarat samajh kar girao mujhe

chal pada hoon main jis samt aisa na ho
laut kar main na aaun bachao mujhe

ab nahin rehta is ghar mein koii mera
pehle samaan ko phir jalao mujhe

laash ghar mein nahin rakhte hain der tak
vo nahin aane waala uthao mujhe

अपना हर दुख फ़साना सुनाओ मुझे
मैं हूँ आदम का बेटा बताओ मुझे

हाँथ पर चोट ये किस तरह लग गई
काँच टूटा है या दिल दिखाओ मुझे

तुमने सीखा है किससे ये दिल तोड़ना
ये हुनर हो सके तो सिखाओ मुझे

तुम भी सबकी तरह भूल जाना मुझे
मैं नहीं हूँ के वादा निभाओ मुझे

तुम अगर चाहती हो के तुम ख़ुश रहो
इक इमारत समझ कर गिराओ मुझे

चल पड़ा हूँ मैं जिस सम्त ऐसा न हो
लौट कर मैं न आऊँ बचाओ मुझे

अब नहीं रहता इस घर में कोई मिरा
पहले सामान को फिर जलाओ मुझे

लाश घर में नहीं रखते हैं देर तक
वो नहीं आने वाला उठाओ मुझे

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari