lag nahin raha tha dil jab kahin thikaane se | लग नहीं रहा था दिल जब कहीं ठिकाने से

  - Sagar Sahab Badayuni

lag nahin raha tha dil jab kahin thikaane se
dil laga liya maine phir sharaab-khaane se

yaaron usko kehna vo milne hi chali aaye
dekha hi nahin khud ko hamne ik zamaane se

ghazlein isliye bhi ab gaane lag gaya hoon main
dard kam ho jaata hai thoda gungunaane se

mujhse meri khushiyaan hi cheen leen gaeein to phir
fark kya hi padta hai ab kisi ke jaane se

lagta hai dil-e-hasrat poori ab nahin hogi
ho sake chali aao tum kisi bahaane se

khudkushi se kya hoga raay le raha tha main
kaam chal nahin saktaa sirf zahar khaane se

लग नहीं रहा था दिल जब कहीं ठिकाने से
दिल लगा लिया मैंने फिर शराब-ख़ाने से

यारों उसको कहना वो मिलने ही चली आए
देखा ही नहीं ख़ुद को हमने इक ज़माने से

ग़ज़लें इसलिए भी अब गाने लग गया हूँ मैं
दर्द कम हो जाता है थोड़ा गुनगुनाने से

मुझसे मेरी ख़ुशियाँ ही छीन लीं गईं तो फिर
फ़र्क क्या ही पड़ता है अब किसी के जाने से

लगता है दिल-ए-हसरत पूरी अब नहीं होगी
हो सके चली आओ तुम किसी बहाने से

ख़ुदक़ुशी से क्या होगा राय ले रहा था मैं
काम चल नहीं सकता सिर्फ़ ज़हर खाने से

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari