visaal-o-hijr se waabasta tohmaten bhi gaeein
vo faasle bhi gaye ab vo qurbaten bhi gaeein
dilon ka haal to ye hai ki rabt hai na gurez
mohabbatein to gaeein thi adaavaten bhi gaeein
lubha liya hai bahut dil ko rasm-e-duniya ne
sitamgaron se sitam kii shikaayaten bhi gaeein
ghoor-eh-kaj-kulhi jin ke dam se qaaim tha
vo juraten bhi gaeein vo jasaratain bhi gaeein
na ab vo shiddat-e-aawargi na vahshat-e-dil
hamaare naam kii kuchh aur shohraten bhi gaeein
dil-e-tabah tha be-naam hasraton ka dayaar
so ab to dil se vo be-naam hasratein bhi gaeein
hue hain jab se barhana zaruraton ke badan
khayal-o-khwaab kii pinhaan nazaakatein bhi gaeein
huzoom-e-sarv-o-saman hai na sail-e-nikhat-o-rang
vo kaamte bhi gaeein vo qayaamaatein bhi gaeein
bhula diye gham-e-duniya ne ishq ke aadaab
kisi ke naaz uthaane kii fursatein bhi gaeein
karega kaun mata-e-khulus yun arzaan
hamaare saath hamaari sakhaavaten bhi gaeein
na chaand mein hai vo chehra na sarv mein hai vo jism
gaya vo shakhs to us kii shabahtein bhi gaeein
gaya vo daur-e-gham-e-intizaar-e-yaar sehar
aur apni zaat pe daanista zahmatein bhi gaeein
विसाल-ओ-हिज्र से वाबस्ता तोहमतें भी गईं
वो फ़ासले भी गए अब वो क़ुर्बतें भी गईं
दिलों का हाल तो ये है कि रब्त है न गुरेज़
मोहब्बतें तो गईं थी अदावतें भी गईं
लुभा लिया है बहुत दिल को रस्म-ए-दुनिया ने
सितमगरों से सितम की शिकायतें भी गईं
ग़ुरूर-ए-कज-कुलही जिन के दम से क़ाएम था
वो जुरअतें भी गईं वो जसारतें भी गईं
न अब वो शिद्दत-ए-आवारगी न वहशत-ए-दिल
हमारे नाम की कुछ और शोहरतें भी गईं
दिल-ए-तबाह था बे-नाम हसरतों का दयार
सो अब तो दिल से वो बे-नाम हसरतें भी गईं
हुए हैं जब से बरहना ज़रूरतों के बदन
ख़याल-ओ-ख़्वाब की पिन्हाँ नज़ाकतें भी गईं
हुजूम-ए-सर्व-ओ-समन है न सैल-ए-निकहत-ओ-रंग
वो क़ामते भी गईं वो क़यामतें भी गईं
भुला दिए ग़म-ए-दुनिया ने इश्क़ के आदाब
किसी के नाज़ उठाने की फ़ुर्सतें भी गईं
करेगा कौन मता-ए-ख़ुलूस यूँ अर्ज़ां
हमारे साथ हमारी सख़ावतें भी गईं
न चाँद में है वो चेहरा न सर्व में है वो जिस्म
गया वो शख़्स तो उस की शबाहतें भी गईं
गया वो दौर-ए-ग़म-ए-इन्तिज़ार-ए-यार 'सहर'
और अपनी ज़ात पे दानिस्ता ज़हमतें भी गईं
As you were reading Shayari by Sahar Ansari
our suggestion based on Sahar Ansari
As you were reading undefined Shayari