door rah kar na karo baat qareeb aa jaao
yaad rah jaayegi ye raat qareeb aa jaao
ek muddat se tamannaa thi tumhein choone ki
aaj bas mein nahin jazbaat qareeb aa jaao
sard jhonkon se bhadakte hain badan mein shole
jaan le legi ye barsaat qareeb aa jaao
is qadar ham se jhijakne ki zaroorat kya hai
zindagi bhar ka hai ab saath qareeb aa jaao
दूर रह कर न करो बात क़रीब आ जाओ
याद रह जाएगी ये रात क़रीब आ जाओ
एक मुद्दत से तमन्ना थी तुम्हें छूने की
आज बस में नहीं जज़्बात क़रीब आ जाओ
सर्द झोंकों से भड़कते हैं बदन में शोले
जान ले लेगी ये बरसात क़रीब आ जाओ
इस क़दर हम से झिजकने की ज़रूरत क्या है
ज़िंदगी भर का है अब साथ क़रीब आ जाओ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sahir Ludhianvi
our suggestion based on Sahir Ludhianvi
As you were reading Zindagi Shayari Shayari