apne har gham ko vo ashkon mein piro leti hai | अपने हर ग़म को वो अश्कों में पिरो लेती है

  - SALIM RAZA REWA

apne har gham ko vo ashkon mein piro leti hai
beti mufalis kii khule ghar me bhi so leti hai

tab mujhe dard ka ehsaas bahut hota hai
jab meri lakht-e-jigar aankh bhigo leti hai

main akela nahin rota hoon shab-e-hijraan mein
meri tanhaai mere saath mein ro leti hai

apne dukh dard ko maila nahin hone deti
apni aankhon se vo har dard ko dho leti hai

jab bhi khush hoke nikalta hoon raza main ghar se
meri maayusi mere saath mein ho leti hai

अपने हर ग़म को वो अश्कों में पिरो लेती है
बेटी मुफ़लिस की खुले घर मे भी सो लेती है

तब मुझे दर्द का एहसास बहुत होता है
जब मेरी लख़्त-ए-जिगर आँख भिगो लेती है

मैं अकेला नहीं रोता हूँ शब-ए-हिज्राँ में
मेरी तन्हाई मेरे साथ में रो लेती है

अपने दुख दर्द को मैला नहीं होने देती
अपनी आँखों से वो हर दर्द को धो लेती है

जब भी ख़ुश हो के निकलता हूँ ‘रज़ा’ मैं घर से
मेरी मायूसी मेरे साथ में हो लेती है

  - SALIM RAZA REWA

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SALIM RAZA REWA

As you were reading Shayari by SALIM RAZA REWA

Similar Writers

our suggestion based on SALIM RAZA REWA

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari