farz kaamon kii tarah tujhko ata karta hoon
main namaazon mein tira naam japa karta hoon
main usoolon kii imarat se bana hoon aakhir
shauq duniya se zara hat ke rakha karta hoon
qeemti cheez zameen par gire achha to nahin
uske ashkon ko hatheli mein liya karta hoon
jisko taweez bana kar ke zamaana pahne
uski tasveer nigaahon mein rakha karta hoon
ai khuda daal de jholi mein mere usko tu
jiske khaatir main tahajjud bhi padha karta hoon
mujhko duniya kii kisi shay se mohabbat hi nahin
teri hasrat ke liye rab se lada karta hoon
main faqat tujhse mulaqaat ke khaatir hi to
dahini or sadak ke bhi chala karta hoon
baal katwa ke samar yun to qayamat hoon main
lambe baalon mein magar khoob jancha karta hoon
फ़र्ज़ कामों की तरह तुझको अता करता हूँ
मैं नमाज़ों में तिरा नाम जपा करता हूँ
मैं उसूलों की इमारत से बना हूँ आख़िर
शौक़ दुनिया से ज़रा हट के रखा करता हूँ
क़ीमती चीज़ ज़मीं पर गिरे अच्छा तो नहीं
उसके अश्कों को हथेली में लिया करता हूँ
जिसको ताबीज़ बना कर के ज़माना पहने
उसकी तस्वीर निगाहों में रखा करता हूँ
ऐ ख़ुदा डाल दे झोली में मिरे उसको तू
जिसके ख़ातिर मैं तहज्जुद भी पढ़ा करता हूँ
मुझको दुनिया की किसी शय से मोहब्बत ही नहीं
तेरी हसरत के लिए रब से लड़ा करता हूँ
मैं फ़क़त तुझसे मुलाक़ात के ख़ातिर ही तो
दाहिनी ओर सड़क के भी चला करता हूँ
बाल कटवा के 'समर' यूँ तो क़यामत हूँ मैं
लंबे बालों में मगर ख़ूब जँचा करता हूँ
As you were reading Shayari by salman khan "samar"
our suggestion based on salman khan "samar"
As you were reading undefined Shayari