har lafz mein qudrat hai shayar ke gharaane mein
ashaar kii chaahat hai shayar ke gharaane mein
lafzon kii hukoomat hai shayar ke gharaane mein
har sher salaamat hai shayar ke gharaane mein
mitti se bana hoon main mitti mein hi jaana hai
mitti bhi mohabbat hai shayar ke gharaane mein
ashkon ko sajaayenge lafzon mein bataaenge
har cheez kii izzat hai shayar ke gharaane mein
jo husn zamaane ke kuchh kaam na aata hai
vo husn qayamat hai shayar ke gharaane mein
nafrat ke zamaane ko ye paath padaaya hai
nafrat bhi mohabbat hai shayar ke gharaane mein
har khwaab fasana hai duniya kii nigaahon mein
har khwaab haqeeqat hai shayar ke gharaane mein
salmaan ko naakaara kehta hai zamaana par
salmaan bhi rahmat hai shayar ke gharaane mein
हर लफ़्ज़ में क़ुदरत है शायर के घराने में
अशआर की चाहत है शायर के घराने में
लफ़्ज़ों की हुकूमत है शायर के घराने में
हर शेर सलामत है शायर के घराने में
मिट्टी से बना हूँ मैं मिट्टी में ही जाना है
मिट्टी भी मोहब्बत है शायर के घराने में
अश्कों को सजाएँगे लफ़्ज़ों में बताएँगे
हर चीज़ की इज़्ज़त है शायर के घराने में
जो हुस्न ज़माने के कुछ काम न आता है
वो हुस्न क़यामत है शायर के घराने में
नफ़रत के ज़माने को ये पाठ पढ़ाया है
नफ़रत भी मोहब्बत है शायर के घराने में
हर ख़्वाब फ़साना है दुनिया की निगाहों में
हर ख़्वाब हक़ीक़त है शायर के घराने में
'सलमान' को नाकारा कहता है ज़माना पर
'सलमान' भी रहमत है शायर के घराने में
As you were reading Shayari by salman khan "samar"
our suggestion based on salman khan "samar"
As you were reading undefined Shayari