mauj-e-jawani ko nahin hamko to bachpana dikha
phir chal sake utha ke sir hamko vo raasta dikha
duniya kii guftagoo nahin tanhaai kii sada dikha
achha nahin ye din mera din mujhko doosra dikha
kone mein ghar ke baitha tha haalaat pe main rota tha
kisko nahin hai gham yahan vo ghar mujhe zara dikha
ghairon se door rehta hoon main apne man kii karta hoon
khud pe bharosa rakhta ho mujhsa koii khuda dikha
मौज-ए-जवानी को नहीं हमको तो बचपना दिखा
फिर चल सके उठा के सिर हमको वो रास्ता दिखा
दुनिया की गुफ़्तगू नहीं तन्हाई की सदा दिखा
अच्छा नहीं ये दिन मिरा दिन मुझको दूसरा दिखा
कोने में घर के बैठा था हालात पे मैं रोता था
किसको नहीं है ग़म यहाँ वो घर मुझे ज़रा दिखा
ग़ैरों से दूर रहता हूँ मैं अपने मन की करता हूँ
ख़ुद पे भरोसा रखता हो मुझसा कोई ख़ुदा दिखा
As you were reading Shayari by salman khan "samar"
our suggestion based on salman khan "samar"
As you were reading undefined Shayari