ham tere dil mein sukoonat bhi nahin kar paaye | हम तेरे दिल में सुकूनत भी नहीं कर पाए

  - Sarwar Khan Sarwar

ham tere dil mein sukoonat bhi nahin kar paaye
aur tere shehar se hijrat bhi nahin kar paaye

ham vo mahroom-e-tamanna ki bhari duniya mein
apne hisse kii muhabbat bhi nahin kar paaye

ham nahin jaante kahte hain jawaani kis ko
ham to bachpan mein sharaarat bhi nahin kar paaye

mere dil mein tha muafi ka tasavvur lekin
tum to izhaar-e-nadaamat bhi nahin kar paaye

हम तेरे दिल में सुकूनत भी नहीं कर पाए
और तेरे शहर से हिजरत भी नहीं कर पाए

हम वो महरूम-ए-तमन्ना कि भरी दुनिया में
अपने हिस्से की मुहब्बत भी नहीं कर पाए

हम नहीं जानते कहते हैं जवानी किस को
हम तो बचपन में शरारत भी नहीं कर पाए

मेरे दिल में था मुआफ़ी का तसव्वुर लेकिन
तुम तो इज़हार-ए-नदामत भी नहीं कर पाए

  - Sarwar Khan Sarwar

More by Sarwar Khan Sarwar

As you were reading Shayari by Sarwar Khan Sarwar

Similar Writers

our suggestion based on Sarwar Khan Sarwar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari